Category

Noha

Author

Safar to Shaam

Date

December 5, 2022

Aagayi Binte Ali

Safar to Shaam

Aagayi Binte Ali, Berida Haath Bandhe Bharre bazaaron main 

Jiss ne sooraj nah kabhi dekha tha Rorahee hai voh gunahgaronh main

 

1) Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rassan pehne hooe Berida rotee hai sajjad ke peeche chup ke Sisskiyanh doobi hainh jiss Bibi kee Hae zanjeero kee jhankaron meinh

 

2) Hae Syeda teri kismet nah millah Haqq tujh ko Aisee tazim teri ki hai mussalmanonh ne Tera Haqq mangne aayee Bibi Ek menosh ke darrbaronh meinh

 

3) Kahan Bibi aur kahan shaam ke logonh ka hajoom Sar khulle oonchee avaaz mainh khutbe parhna Qatlay murrsal ka havaala de karr Chadare Mangna badhkaronh mein

 

4) Aag Khaymonh ko Luggee aur thay Sajjad be hosh Roro Abbas ko deti thi sadaen Bibi lootelo chadare Sayyedaniyyonh kee Shor barpa tha sitamgaronh meinh

 

5) Jiss tarha bali Masooma rahe Baba ke beghair Sogayyi chaen se tanhhaee meinh rote rote Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma kee Hae zindano ke deevaronh meinh

 

6) Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar Chhorr Karr dukhiyya vahanh rotee hai Syeda aa Karr Baal Kholay hooeh saar peet ti hai Apne pyaaronh ke Azadaaronh mein

No items found.