Category

Marseya

Author

Imam Ali asws

Date

April 5, 2024

E rozadaarou aaho buka ke ye roaz hai

Imam Ali asws

[combined]

*E rozadaarou aaho buka ke ye roaz hai

Saadaat par nazool e balaa ke ye roaz hai

Sartaaj e ausiya ki azaa ke ye roaz hai

tum se wida-e sher e khuda ke ye roaz hai

    zakhmi huwe imam tumhare namaz mai

    zaalim ne rozedaar ko maara namaz mai

  

maahe mubarak e ramazañ aur hai khuda ka ghar

Tarrka wo noor ka wo shab e qadr ki sahar

paish e khuda wo sajde mai sher e khuda ka sar

aur hy taigh zulm ki zarbat wo farq par

    fawware khoon ke zakhm e jabeen se baha kiye

    sajde mai aap rabbi yal aala kaha kiye

 

likha hai jab dou neem huwa farq e murtaza

Sidra se jibraeel ke rone ka ghul utha

Uthri sarou se bibi e mazloom ki rida

Ro ro ke bhaaiyon ko pukari ghazab huwa

    sunte ho jibraeel ne is waqt kya kaha

    wo bole peet kar qatl e murtaza kaha

 

*Dekha padar ka shabbar o shabbir ne ye haal

Sar thaame dono haathon se hain sher e zul jalaal

Behta hai khoon roowe mubarak hai laal laal

Khooñ mai nahaarahe hai shehenshahe khush khisaal

    Sar se wo khoon behta hai sab tar libaas hai

    Aur dard o ghum mai hy shah e haq shinaas hai

 

*Naagaha namaziyon ke garouh aaye khulle sar

Haider ne mujtaba se kaha aankh khol kar

Parrhwaao tum namaz jama'ath ki e pisar

Hum baithe baithe parrhte hai apne maqam par

    lekin jabeen ke zakhm pe rumaal baandh do

    mera sar e shagaafta ay laal baandh do

 

*Rumaal baandha sar se magar khoon rawa raha

Karte hai aah aah Shehenshah e dou sira

Gehra wo zakhm aur aziyat bhi wo suwa

Tar khoon mai aur houthe rahe shahe laafta

    Haatho se sar ko thaame huwe dard sehte hai

    Fuzto bayrab zubaan se har baar kehte hai

 

*Baad e namaaz laaye gaye ghar jo khasta haal

Zakhmi jabeen chehra bhi hai khoon se laal laal

Bibi pukaari khoule huwe apne sar ke baal

Sehat de mere baba ko e rab e zul jalaal

    Amma bhi chal basi mere nana bhi chal basay

    Aur baba jaan hy mere khoon mai bhar gaye

 

*Dou rouz o shab tarrupte rahe sarwar e anaam

Chalti thi dil pe hy ghazab dard ki hasaam

Ghere huwe pidar ko jo farzand thay tamaam

Hasrat se dekhte thay ali shahe khaas o aam

    Shabbar ka tukrre tukrre kaleja nazar mai tha

    Shabbir ka wo khoon bhara laasha nazar mai tha

 

*Shabbar ke zehr peene ka manzar tha saamne

Lakhte jigar ugalta wo dilbar tha saamne

Shabbir ka wo katthta huwa sar tha saamne

Pamaaal houta laal ka pekar tha saamne

    Abbas ke nazar mai thay baazu katte huwe

    Aur bibi e ghareeb ke baazu bandhe huwe

 

 

No items found.