Imam Baqir asws
Abid ke laal aafaam ki shahadat ka roaz hai
Ye paanchwe Imam ki shahadat ka roaz hai
Sultaan e khaas o aam ki shahadat ka roaz hai
Masoom naik naam ki shahadat ka roaz hai
Rone ki aarahi hai sadaa asmaan se
Lou uthgaye muhammad e baqir jahaan se
Sar peeto ehle bazm qaza ki imam ne
Kya dukh uthaaye sarwar e gardooñ imam ne
Bheja salaam jin pe rasool e anaam ne
Hou paish aah zehr e dagha inke saamne
Kya inqilaab gardish e layl o nahaar hai
Sajjad ke jigar ka kaleja figaar hai
Kab taab hai ke unke masaaib karu rakam
Mola ki zindagi bhi hai ik dastaan e ghum
Tifli mai karbala ke masaaib wo dum ba dum
Tha panchwa baras ke sitam par huwe sitam
Ik reesmaan e zulm mai nunni kalaayi thi
Baba ke saath qaid ki eeza uthaayi thi
Tha dushman e imam hashaam e na sa’eed
Berehmo mai shimr shakaawat mai tha yazeed
Ye bhi adu e aale nabi soorat e waleed
Mazloom par ghareeb par daale sitam shadeed
Dar pe huwa shaqi jo shahe dil malool ka
Tukrre kiya lehed mai kaleja rasool ka
Aamaadah qatl par jo huwa wo sitam shuwaar
Paiwast aik zeen mai kiya zehr e beshumar
Marqab pe charrhne ka diya phir hukam aik baar
Jab janasheen e malik e dul dul huwa sawaar
Mouka diya na zeest ne phir qatta rah ka
Sam ke asar se phool gaya jism shah ka
Neelee huwe ragain jasad e naazani pe aa
Tha aashikar e ghum ka paseena jabeen pe aa
Sultan e deen thair na sakain pusht e zeen pe aa
Bas ya hussain keh ke wo utare zameen pe aa
Wo iztiraab tha shahe aali muqaam ko
Bistar pe aate aate ghush aaya imam ko
Tarrpe asar se zehr ke mola e dou jahaan
Tharraagayi zameen hila ghum se asmaan
Zilhajj ki saatvi ki sahar thi ke al’amaa
Jannat ko shahe deen ki sawaari huwi rawaa
Wo zehr tha ke jeene se dil sair hogaya
Emañ ki shamma bhujgayi andher hogaya