Tiflan e Muslim asws
Pardes mai Muslim ke yateemo pe jaffa hai
Dariya pe paa e qatal adu leke challa hai
Chouta tou barre bhai ka mou dekh raha hai
Zor usko madad ka nahi mashghool e buka hai
Berehm ke kabu mai hai wo naazo ke paale
Har su nigraa hai ke koi aake bachaale
Choute ko barra bhai hai barh barh ke bachaata
Har baar hai mus’haf ki tarha beech mai aata
Ro deta hai kuch kehna ka mouka nahi paata
Besaakhta ik baat zubaan par hai ye laata
Sun haal ghareebo ka khuda ke liye dum le
Ab hum tere ghar mai kabhi aae tou kasam le
Sunta na tha mazloomo ki ik baat sitamgar
Dete thay nidha zouja e Haris ko ye barhkar
Ye jaante tou hum kabhi aathe na tere ghar
Mehmaano ko apne tu bachaati nahi madar
Churrwaade ke pokarre huwe zulfo ko adu hai
Amma nahi baba nahi jo kuch hai sou tu hai
Farzand ko di haaris e malaaun ne talvaar
Aur bolla ke sar kaatle in dono ke ik baar
Wo bolla ke mujh se ye nahi hovega zinhaar
Ye tu hi hai bad bakht o siyaah ruh o jafakaar
Haris tu pidar kis ka shaqi o azali hai
Ma syeda hai momino ke baap Ali hai
Tu koor hai zalim nazar aae tujhe kyu kar
Ye dekh nabi rote hai dariya pe khulle sar
Ye sunke utha Haris e malaun o sitamgar
Zalim ne kaha mujh ko nahi khof e payambar
Ik taigh talle dono biraadar ko bhitta kar
Sar kaata barre bhai ka chouthe ko dekha kar
Sar paas rakha laash ko dariya mai bahaya
Bhai ke galle ka jo lahu khaaq pe paya
Ulfat se biradar ka lahu joash mai aya
Tab jorr ke haath apne ye qaatil ko sunaya
Poocho ye lahu kurte se talvaar jhukade
Loutu barre bhai ke lahu mai jo riza de
Wo bola ke hou shouq se ghaltaa mujhe kya Dar
Bhai ke lahu mai wo laga loutne gir kar
Kehta tha barre bhai kaha dhoonde baradar
Tum tou abhi baithe huwe thay mere barabar
Kisne hi naseeb aise ulatt te huwe dekha
Bhai ne galla bhai ka katthte huwe dekha
Na gaha ghasab o taish se haris ye pukara
Bas lout chuke utho ke sar katu tumhara
Uth baitha kaha jald gala kaat humara
Sar kaat ke dariya mai jo tan daala qazaara
Laashe ne kaha poore huwe dil ke iraade
E hijr mujhe bhai ke laashe se milaade
Seene pe rakha seena jigar rakha jigar par
Dou haath madine ki taraf utthe baraabar
Haq se ye duwa ki ke bache akbar o asghar
Shabbir ki ab khair hou hum tou huwe besar
Maadar ko bhulaadijiyo ab yaad humari
Lelijiyo jallaad se tu daad humari