Wirsa Milla Hassan Ka
Ummat Say Askari Ko
Zehraiy Sittam Say Mara Haiy
Gayahrvaiyn Ali Ko
Abb Dushmani Ali Ki
Pohanchi Haiy Samara Mai
Zulmo Sittam Ki Aandhi
Chalti Haiy Samara Mai
Haiyn Marnaiy Kay Dar Pay
Farzandaiy Askari Ko
Baba Ka Ho Janaza
Aur Rou Sakaiy Na Baiyta
Abid Yay Dard Janaiyn
Ya Janaiyn Mehdi Mola
Rotaiy Haiyn Chupkaiy Chupkaiy
Mola Ki Ghareebi Ko
Zindaañ Mai Dam Ghuta Tou
Yaad Aaee Qaiydi Bachchi
Jiss Naiy Sisak Sisak Kar
Zindaañ Mai Jaan Day Di
Routaiy Thaiy Yaad Kar Kay
Nazouñ ki Uss Palee Ko
Masmoom Ka Haiy Janaza
Khamoshiyouñ Ka Pehra
Kaiysa Sittam Haiy Ya Rab
Karnaiy Diya Na Girya
Dill Mai Bohat Haiy Sadma
Ouladaiy Askari Ko
Waqtaiy Akheer Ghalba
Shiddat Ki Paiyaas Ka Tha
Mislaiy Hussain Qatra
Paani Na Mill Saka Tha
Paiyasa Hi Maar Dala
Allah Kay Wali Ko
Aflaak Naiy Na Daikha
Aiysa Koee Janaza
Mazloomiyat Bhee Aa Kar
Karti Rahee Haiy Noha
Qismat Na Din Dikhaaiy
Aiysa Kabhi Kisi Ko
Apnaiy Jigar Ko Thamaiy
Baiykal Bohat Rahaiy Hain
Mola Tarrap Tarrap Kar
Duniya Say Chal Basaiy Hain
Ahlaiy Sittam Naiy Sadmaa
Pohnchaya Haiy Nabi Ko
Rotaiy Hain Ambiya Bhee
Rotaiy Hain Sab Farishtaiy
Daiytaiy Hain Pursa Saaraiy
Mill Kar Galaiy Naqi Say
Rizwan Aa Kaiy Roti
Haiy Moat Zindagi Ko
No items found.