Shahzaday Aun & Muhammad asws
Syed pe pisar apne fida karti hai Bibi
Seene se dillo jaan ko juda karti hai bibi
Chutt thay hai pisar yaad e khuda karti hai bibi
Jo sabr ka haq hai wo ada karti hai bibi
Ghorro pe jo wo dono pur armaan charre hai
Kehti hai ke bete mere parvaan charre hai
Sheh kehte te hamsheer ye kya karti hou dekho
Akbar ko mere bhejo inhe run mai na bhejo
Wo kehti hain sadqe gaye tum is mai na bolo
Bibi ne issi din ke liye paala tha inko
Tum tou inhe run mai nahi bhijwaate hou bhai
Phir kisliye hamsheer se sharmaate hou bhai
Bhijwaane ka Akbar ke na tum naam lou bheya
Akbar ki balaañ inko lage wo rahe jeeta
Awwal tou wo humshakale nabi husn mai yakta
Aur doosre bibi ko hai sehre ki tamanna
Ahsaan mujhe beto ka dagh E shah e deen hai
In mai koi athaara baras ka tou nahi hai
Ye kehti thi kuch dehaaan mai bibi ke jo aya
Phir apne jigar gousho ko khaime mai bulaya
Aae jo pisar beech mai akbar ko bhitaya
Aur aun ko gird inke kaye baar phiraya
Baki jo muhammad ye rutba diya unko
Gehwaara e asghar pe tasaduq kiya unko
Beto ko bhatejo pe fida Kar chuki jis aan
Madar hi ka to dil hai huwa ghum se pareshaan
Boli ke sidhaaro asadullah nigebaan
Tum akbar o asghar pe fida tum pe mai qurbaan
Gul gasht e gulistaan e shahadat hou mubarik
Kousar hou mubarak tumhe Jannat hou mubarik
Amma huwi khaime se rawaan jaanibe maidaan
Kya dekhti hai neher pe hai fouj e faraawaan
Bibi ke jigar gousho pe hai teero ka baraa
Na gaha huwa shour ke mushkil huwi asaan
Lou jaan o dil e dukhtar e syeda gaye maare
Dou roz ke pyaase lab e dariya gaye maare
Jis wakht ye matam ki khabar shah ne paayi
Rote huwe ghorre pe charrhe taab naa aayi
Abbas se ghabra ke kaha kya karu bhai
Lou zaalimo ne lootli khwaahar ki kamaayi
Ye bhaanjo ka daagh nahi mujhko diya hai
Akbar o asghar ko mere qatl kiya hai
*Run mai jo gaye shah ne tarrupta inhe paaya
Ik laash ko khud ik ko akbar ne uthaaya
Jab dono ko laakar saffe matam pe litaaya
Bibi ko bulaakar shahe deeñ ne ye sunaaya
Tha ishq inhe syeda tahira ke khilaff se
Pyaase gaye pyaase phire dariya ke taraf se
E bibiyo ye kehte thay shabbir ke shehdaa
Jab run mai gire hum tou waha aayi thi Syeda
Roti thi humme aur ye kehti thi wo dukhiya
Shabbir ko zinda nahi chorrenge ye aadaa
Ye karte hai taaqeed wo mujhasta jigar se
Ab jaanay na dena shahe mazloom ko ghar se