Imam Naqi asws
Rukhsat Jahaan Say Ajj
Ali un Naqi ki Hai
Ye Shab Gham-o-Alam Ki
Hai seenaa Zani ki Hai
Chhaahya Hai Saamara ki fizaaou Mai Ranj-o-Gham
Zehr-e-Dagha se Hy Naqi Par Kiya Sitam
Soussan pe Hy Saatt
Bari Teergi ki hai
Yasrab ke Shah ko jo Bulaya Faraib se
Tu ne Laeen hy Sataya Faraib se
Ye Daswaan Janasheen Nishani Ali ki hai
Qaidi Bana kay Qaid-e-Sitam mai Rakha Gaya
Har aik Zulm O Jowr Naqi Par kiya Gaya
Shaam-o-Sahar yu Dard mai Uss Muttaqi ki hai
Dhaya hai Zulm Tu Nay Laeen ye Imam Par
Laanat Ho Dou Jahaa ki Sitamgar kay Kaam par
Haalat Ajeeb Samm se Khuda ke wali ki hai
Ummat ne phir say Aal-e-Nabi ko kiya Shaheed
Yanee ke Hy Mola Naqi ko kiya Shaheed
Ghurbat mai Aaj laash ye Ibn-e-Taqi ki hai
Royaa hai taahayat jo Mola Hussain par
Haider ki Arzoo Dil-e-Syeda ke Chain par
Sar peeto Momino ke ye mayat unhi ki hai
Sar pe Hamaray Baba Ka Saya Nahee Raha
Ghurbat mai aik Bete ne ro kar yehi kaha
Dard-o-Alam mai Gounji Sada Askari ki hai