Imam Baqir asws
Ali ke bete Ali ke pothe
Ali ke midhat guzaar Baqir
Dua e Syeda se khilne waale
Chaman ki shaane bahar Baqir
Uloom e Haider uloom e sarwar
Uloom e Sajjad ka khazana
Payaam e Shabbir ke muballigh
Ata e parvwardigaar Baqir
Pidar ke sajdo ka ye samar hain
Harra bharra deen ka shajar hain
Inhi ne bakhsha hai baykali mai
Sukoon o sabro karaar Baqir
Wo fehm o idraak aur firasat
Tamaam khalq e Khuda ki khidmat
Ali ki soorat Nabi ki soorat
Rahaa jinka shouaar Baqir
Uloom e makhfee o zahiri se
Kamaal darja jo agahi thi
Bahaaye tashna labo ki khatir
Uloom ke aabishaar Baqir