Shahzada Ali Asghar asws
Ali Asghar Ali Asghar Ali Asghar Ali Asghar
Mera Mola Ali Asghar mera aka Ali Asghar
Ye meri kaum hai jiska
Ke ye masoom hai rehbar
Hussaini baagh mai ik noor aya hai kali jesa
Adaao se tou lagta hai wali ibne wali jesa
Ye hai kamsin maghar babul hawaij hai sakhi jesa
Shabee e Murtaza sare ka sara hai Ali jesa
Chala yousuf adan se dekhne shabbir ka dilbar
Sawaali ban ke aaae hai ataae leke jaaenge
Ali Asghar ke jhule se shifaae leke jaaenge
Jisse aulaad hou darkaar maa ne wou abhi mannat
Yaha chouda ki amaad hai ye hai shabbir ki jannat
Yaha pe maang ne ko aagaye tere sabhi noukar
Ali ka khoon hou jinmai kaha teero se dar te hai
Maghar is ghar ke tou cheh maah ke bache jang kar te hai
Nahi tha jaanta Hurmal ke jab maidaa mai aayega
Tou bacha teer khaane ke liye gardan uthaaega
Idhar gardan utthi aur bol utha nou laakh ka lashkar
Yazidi fouj ke abbtar bari baate tou karta hai
Yahi Islam hai tera ke tu bachou se larta hai
Mujhe paani ke badle mai bulakar teer marra hai
E Hurmal doob ke marja tu ik bacha se hara hai
Bara Hurrmal bana phirta hay bohla teer ko a kar