Category

Qasida / Salam

Author

Aqd e Syeda asws

Date

July 5, 2022

Aaj shere khuda ki shaadi hay

Aqd e Syeda asws

Dono aalam ki shah-zadi se

Aaj shere khuda ki shaadi hay


Aaj ismat se milgayi ismat

Ya tahaarat mili tahaarat se

Chehra Quraan ka hogaya roshan

Mili aayat jo apni surat se

Malka e innama bani hai dulhan

Waarise hal ataa ki shaadi hay


Is taraf ismato ka hai kangan

Us taraf joshni mai joshan hay

Kyun mashiyat na fakhr se jhume

Jaisa dulha hai waisi dulhan hay

Binte uqda kusha ka aqd hai aaj

Aaj mushkil kusha ki shaadi hay


Hai shabe qadr si baraat ki shab

Eid ke din sa din hai shaadi ka

Hai milan shaahzaada e kul se

Aaj jannat ki shaahzaadi ka

Jo churaayegi naar se ham ko

Aaj un Syeda ki shaadi hay


Saari hurein milli kanizi me

Saare ghilmaa mile ghulaami ko

Jannatein khalq kardi qudrat ne

Binte ehmad teri salaami ko

Arsh te farsh sab jahez me hain

Khud razaaye khuda ki shaadi hay


Aayaton ne sajaayi hai do ali

Sadqe jibreel ne utaare hain

Hai ye guluband aaj naade ali

Aur hadison ke goshware hain

Har tasbih kyun na hojaaye

Hazrate sayyada ki shaadi hay


‎دونوں عالم کی شاہزادیؑ سے

‎آج شیرِ خدا کی شادی ہے


‎آج عصمت سے مل گئی عصمت

‎یا طہارت ملی طہارت سے

‎چہرہ قرآں کا ہو گیا روشن

‎ملی آیت جو اپنی سورہ سے

‎ملکہءِ انّما بنی ہیں دلہن

‎وارثِ ہل عطا کی شادی ہے


‎اِس طرف عصمتوں کا ہے کنگن

‎اُس طرف جوشنی میں جوشن ہے

‎کیوں مشیعت نہ فخر سے جھومے

‎جیسا دولہا ہے ویسی دلہن ہے

‎بنتِ عقدہ کشاء کا عقد ہے آج

‎آج مشکل کشاء کی شادی ہے


‎ساری حوریں ملی کنیزی میں

‎سارے غلماں ملے غلامی میں

‎جنّتیں خلق کردیں قدرت نے

‎بنتِ احمدؐ تیری سلامی کو

‎عرش تا فرش سب جہیز میں ہیں

‎خود رضائے خدا کی شادی ہے


‎آیتوں نے سجائی ہے ڈولی

‎صدقے جبریل نے اُتارے ہیں

‎ہر گلوبند آج نادِعلیؑ 

‎اور حدیثوں کے گوشوارے ہیں

‎ہر تسبیح کیوں نہ ہو جائے

‎حضرتِ سیدہؑ کی شادی ہے


‎ہوئی شبِ قدر سی بارات کی شب

‎عید کے دن سا دن ہے شادی کا

‎ہےملن شہزادہء کل سے

‎آج جنت کی شہزادی کا

‎جو چھڑوائیں گی نار سے ہم کو

‎آج اُس سیدہؑ کی شادی ہے



No items found.