Safar to Shaam
Aata hai sar imam ka bazm e Yazid mai
Mehshar bapa hai aale rasool e majeed mai
Samaan e raks o esh hai kasre paleed mai
Seena zani hai itrat e shahe shaheed mai
Darbaar e aam mai tou sabhi ka hajoom hai
Sedaaniyo mai hy Hussaina ki goonj hai
Raahvi beyaan karta hai ab yu bachashm e nam
Daakhil huwa jo shaam mai sab lashkar e sitam
Pohunchi yazeed ko khabar e aamad e haram
Bola hussain par huwe mansoor aaj hum
Sar tasht mai dikhaaonga ibne rasool ka
Darbaar mai hou daakhila aale rasool ka
Paish e yazeed aya haram ka jo karvaan
Aghlab tha jaan dukhtar e haider ki hou rawa
Dekha yazeed ne jo masooma ko na gaha
Poocha ye koun hai tou kiya Shimr ne beyaan
Beti hai ye janaab e shahe mashriqain ki
Baali Masooma hai yehi dukhtar hussain ki
Bola yazeed dil mai tere aarzoo hai kya
Boli Masooma sar mujhe dikhlaade baba ka
Alkissa khulgaya rasan e zulm se gala
Tasht e talaa dikha ke ye haakim ne di sada
Alooda khaaq se hai tou khoon se bhara huwa
Le is mai tere baba ka sar hai dhara huwa
Par shart hai uthaake sar, na kijiyo tu bain
Aap hi se aae goud mai, tere sar e hussain
Sar poush ko uthaake pukaari wo noor e ain
E syeda ke raahate jaañ mustafa ke chain
Choone ko sar ko huqm nahi ghum ki maari hou
Ajao meri goud mai ‘gar tum ko pyaari hou
Dekha sabhi ne kaampgaya sar hussain ka
Bola masooma laadli tum par se mai fida
Pehlaao haath aya hou mai ghum ka mubtila
Ye kehke uttha tasht se farq e shahe huda
kaampi zameen takht e sitamgar ulattgaya
Beti se aan kar sar e sarwar lipattgaya
Mou rak ke mou pe bouli masooma ke ya hussain
Baad aapke mila na humme aik laahza chain
Pehnaae thay jo aapne gohar baazaib o zain
Un ke liye ye zulm huwa shahe mashraqain
Shimr e layeen cheen ke ye haal kardiye
Maare tamaache neele mere gaal kardiye
Kya kya na baad apke hum par huwi jaffa
Khaae tamaache shimr ke maabain e karbala
Aayi jo shaam mai tou bandha nunna sa galla
Muksoom mai jo likha tha hargiz na wo mitta
Bulwaalo paas sadme uthaae na jaaenge
Ab tou tamaache shimr ke khaae na jaaenge