Shaam e Ghareebaan
Ab Tou Ajao Shehenshah-e-Wafa
Ro Ro Kehti Thi Masooma Ran Mein Lut Gaee Saani-e-Syeda Ki Rida
Shimr Ne Maaray Tamaachay Hai Mere Gaalon Pe
Jhirkiyaan De Ke Uthaya Hai Mujhe Baba Ki Laash Pe Ronay Na Diya
Cheen Kar Sab Ki Ridaaein Aur Jalaey Khaimay
Aisay Loota Hai Musalmaanon Ne Na Kiya Aal-e-Muhammad Ka Haya
Tum Ko Abbas Ki Taaqat Pe Bharosa Tha Bohot
Qaid Honay Se Bachaey Tum Ko Aakay Yeh Shimr Ne Bibi Se Kaha
Shaam Janay Ke Liyey Qafila Tayyar Hai Jo
Un Mein Ayk Roz Ki Biahi Hai Khari Haathon Se Utra Nahi Rang-e-Hina
Tor Di Maar Ke Akbar Ke Jigar Mein Barchi
Aur Sitamgar Ne Kaha Maula Se Yeh Suna Hai Ke Tu Sabir Hai Bara
Sahib-ul-Asr Yeh Alfaaz Ata Kartay Hain
Koi Khoobi Yeh Nahi Akhtar Ki Iss Key Nohon Mein Hai Zahra Ki Dua