Bibi Syeda asws
Aik tehreer uthaae
Boli darbaar mai akar Syeda
Logo mai binte Nabi hou
Aisa badla hai Madina
Apna haq maang rahi hou Ghasib se
Kalmago kursinasheen hai
Aur mai kabh se kharri hou
Poocha Haider ne bata
Kya kya masjid mai huwa
Ro ke bas itna kaha
Kabhi deewaaro ko thaama
Kabhi mai khaaq pe baithi hou thak kar
Kabhi beto ko sambhala
Kabhi raste mai giri hou
Wo tou kamsin hai abhi
Door hai shaam se bhi
Beti aaegi kabhi
Mujhse beti ne ye poocha
Kaha jaati hou batado e anma
Mene beti se chuphaaya
Ke mai darbaar chali hou
Aise khaamoush hou kyu
Kehna chaho jo kaho
Amma kuch tou bolo
Roke boli beto se
Saath behno ka nibhaana karbal mai
Khulle sar kaise chalegi
Bas yehi souch rahi hou
Jitne dukh mene sahe
‘Gar wo din par bhi parre
Wo siyaah raat banay
Yehi dukh kam tou nahi hai
Is kadar tanha madine mai huwi
Koi sunta tou nahi hai
Ke mai bol rahi hou