Shazada Ali Akbar asws
Akbar Tera Zahoor Zamane mai jab huwa
Tareekiyaan Thi Arz madina se door
Akbar ka qayinaat mai aise huwa zahoor
Ghul tha ujale shab ke andherou pe chah gaye
Akbar nahi rasool zamane mai aagaye
Phehli huwi thi roshni akbar ki charsou
Abbas bolai aakai yai mola kai rubarou
Hai kalb main ziyarate akbar ki arazou
Yai keh kai goad mai liya bibi ka mahirou
Duniya ko dee khabar yai sitarou kee mand nai
Suraj utah liya bani hashim ki chand nai
Akbar Tera Zahoor Zamane mai jab huwa
Har ashiqe rasool pe ye raaz khulgaya
Bay sayaa thai rasool tou akhir sabab tha kya
Aaye kisee kai goshai aqeedat mai yai sadaa
Saya chupa kai rakha tha arshai bareen par
Akbar utarna ta khuda ko zameen par
Yusuf fakat haseen yai husnai tamaam hai
Iskee ragou mai khoon e shahai Khaas o aam hai
Taraa bulaana iskai isharoun ka kaam hai
Suraj yai chand iskai kilouno ka naam hai
Hai asl kainaat yai Deen ka asool bhi
Hai aik waqt main yai ali bhi rasool bhi
Kya martaba bayaan ho aisay haseen ka ((2))
Awaaz de rahi hai musal sal ye Karbala
Is jaisa koi hai na kabhi hoga aur na tha
Tareekh likh chuki hai taqallum yai faisala
Akbar kai jaisa koi jawan phir nahi mila
Ab tak azaa(n) ko aisa muazaan nahie milaa