Shazada Ali Akbar asws
Ali Akbar Ali Akbar Ali Akbar Ali Akbar
(Mera mola Ali Akbar Mera aaqa Ali Akbar)
Muhammad ki Judaee Mai Dil-e-Shabbeer Rota Tha
Tasawwar Mai Tou Nana kay Nawasa Sath Hota Tha
Dil-e-Shabbeer Mai Nana ki Hasrat Saans Laiti thee
Badan tou Tha Imamat ka Risalat Saans Laiti thee
Jo Nabiyouñ ko Atta karta tha Uss Nay Phir Dua Mangee
Duaae Sunne Waalay Ne Khuda say Phir dua Mangee
Zameeñ pay bhaij day Malik (2)
Bana kay Phir say Paiyghambar
Wo suraj gyarvi shaban ka aflaaak pe uthara
Arsh ko chor kar Ali, Akbar farsh pe uthara
Bazahar tou ali ke laal ki jholi mai Beta tha
Hakikat mai azaañ ke Husn ko shah ne samaita tha
Jo nazil hogaya laikin (2)
Musalle pe rahi madar