Safar to Karbala
Amma mai ja raha hou
Deen e Khuda bachane
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane
Akbar mera karega
Nana ki tarjumani
Dega khuda ke deen ko
Maqtal mai nou javani
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane
Kehte huwe ye sheh ki
Awaaz thar thar aaee
Dedounga rahe haq mai
Abbas jesa bhai
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane
Qasim ki laash ke bhi
Tukrre utaaoonga mai
Besheer ke lehed bhi
Run mai banaaoonga mai
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane
Sar ko kataaoonga mai
Ghar ko lutaaoonga mai
Nana se jo kiya hai
Wada nibhaaoonga mai
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane
Is tarha se karounga
Ayaat ki hifazat
Neze pe bhi karoonga
Quran ki talaawat
Phir aao ya na aao
Waapis Khuda hi jaane