Imam Naqi asws
Assmanaiy Imamat kay Daswain Qamar
Mairay Mola Naqi Shehansha Aa gaiy
Taqwaaiy Rabb e Akbar kay Daarain Maiñ
Momino Aaj Qibla Numa Aa Gaiy
Aaye Takhte Sadaaqat kay Masnad Nasheeñ
Arsh Chumay Jabeeñ Paaoñ Chumay Zameeñ (2)
Mislaiy Quraan Maadar ki Aaghosh Maiñ
Aagaye Baap ki Azmatooñ kay Aameeñ
Zeenataiy Behr O Bar Maañ kay Lakhtay Jigar
Baysaharooñ kay Mushkil Kusha Aa Gaiy
Aayatain Loriyo Maiñ Badalnaiy Lageeñ
Saa Atay Gham ki Khushyo Main Dhalnaiy Lageeñ
Daikh Kar Jalwaaiy Nooraiy Zaataiy Samad
Chand Tarooñ ki Aankhain Machalnaiy Lageeñ
Bheek Lainaiy Shehansha Say Anwaar ki
Ban kay Shams O Qamar Bhee Gada Aa Gaiy
Sehnaiy Ismat Mai Salwaat ki Baarishe
Aayatooñ kay Taraanaiy Sunaanaiy Lageeñ
Abdi Khushyaan Sakhi kay Qadam Choom Kar
Sajdaae Shukr Maiñ Sar Jhukanaiy Lageeñ
Har Ibaadat Ibaadat Maiñ Masroof Haiy
Shoukate Sajdaa e Murtaza Aa Gaiy
Mairaiy Mola Naqi Aisay Zeeshaan Hain
Har Khushee jin kay Qadmoñ pay Qurbaan Haiy
Jashan Ghar Ghar Manaoo Chiraghaañ Karoo
Zataiy Wajib Ne Bhaija yay Farman Haiy
Aa Gaiy Innama kay Sadaf kay Gohar
Nooraiy Chashmaiy Nabi Mustafa Aa Gaiy