Imam Baqir asws
Baqir ka aaj utha
Yasrab mai hai janaza
Baadil yateemi ka hai
Jafar ke sar pe chaya
Lekar challe hai zakhm
Dil mai liye bahahtar
Dekha hai kamsani mai
Manzar jo karbala ka
Rukte nahi hai aansoo
Mola ke wakht e akhir
Kya yaad araha hai
Asghar ka muskurana
Karte te yaad ro kar
Asghar ki ma ko Baqir
Karbal ke baad paya
Pani na koi saya
Ik pal na chain paya
Baqir ne zindagi mai
Chalees saal baba
Ko khoon rote dekha
Lamha tha hashar ka wo
Jab baap aur beta
Milkar bana rahe te
Hy turbat e Masooma
Mola mila hai aapko
Taboot bhi kafan bhi
Bekafan o bedafan tha
Maqtal mai sheh ka laasha