Safar to Shaam
Beparda koi parda nashee(n) hona safar mai
Ya rab na lage aag kisi pyaase ke ghar mai
Ghum na parre marge pisar se (na) jigar mai
Barbaad na hou ghar koi yu teen pehar mai
Bhai ka katte halk na humsheer ke aage
Par zour kisi ka nahi taqdeer ke aage
Ab nohay ka hangaam hai riqat ki gharri hai
Sheh na rahe bibi pe qayamat ki gharri hai
Darbaar mai ab aamad e itrat ki gharri hai
Haider ke mohibo pe musibat ki gharri hai
Jaa'iz hai haram majlise maikhwaar mai jaae(n)
Abid liye maa beheno ko darbaar mai jaae(n)
Darbaar bhi zaalim ka hai aadil ka nahi hai
Andesha adoo ko haq o baatil ka nahi hai
Wakht iss se ziyaada koi mushkil ka nahi hai
Kuch bas haram e mazloomo muztar ka nahi hai
Manzoor hai ye touk tou gardan mai parre hou(n)
Sab kursiyo pe baite hou saadaat kharre hou(n)
Chal kar kaho hakim se ke haider ke haram hai(n)
Zawwaar payambar ke hai hujaaje haram hai(n)
Dasvi se muharram ke giraftaare sitam hai(n)
Sar khulle hai hum pyaaro ke sar tan se qalam hai(n)
De daad humari ke azeezo se chutte hai(n)
Kaabe ke musafir teri sarhad mai lutte hai(n)
Bibi Ali Akbar ka kahe waqiya saara
Yu neza lagaya ke jigar hogaya paara
Tum kahiyo ke burka mera zalim ne uthara
Naalish mai karungi ke tamaacha mujhe maara
‘Gar poochega wo kya teri marzi hai bataade
Mai hathou ko jorrungi ke baba se milaade
Weerane mai ik ganje shaheeda(n) nazar aya
Khursheed falak khoon mai ghultaa(n) nazar aya
Ik ghoul liye khanjare bar aa nazar aya
Sab haadiso ke baad ye saamaan nazar aya
Neza pe jigar kaat ke rakha hai nabi ka
Aur rukh hai mere ghar ki taraf fouj e shaqi ka