Safar to Shaam
Chadaron ka naam sunkar ro pari binte ali
Sham ke darbar mai
Wa hijaba keh rahi thi Syeda ki laadli
sham ke darbar mai
Kursiyo par qaatilane shah thay baithe hue
saaya e deewar may thay sab haram lekin kharay
bawafa ko dhoondti thi dukhtare shere jari
sham ke darbar mai
kaun hai Bibi pukara jis gharri firaune shaam
haye ghurbat kehke utha tha mera qaidi imam
ashk khoon ke ro raha tha shah ka beta ali
sham ke darbar may
shimr dekha to Masooma sehm kar ronay lagi
door hoja shimr Uma zor se kehne lagi
khauf se murjha rahi hai baaghe ismat ki kali
sham ke darbar mai
hukm haakim ne sunaya maar do bemaar ko
is jagah hi qatl kar do kaafila salaar ko
gir pare Abid ke upar haye nazon se pali
sham ke darbar mai
tasht may baba ke sar par jab pari uski nazar
apne zakhmo ki rahi na phir Masooma ko khabar
daurrti baba ki jaanib laadli beti chali
sham ke darbar mai
zaalimo ko mil rahe thay zulm karne par enaam
kehkahan par keh kahe thay jaam par chalte thay jaam
rotay rotay shaam logon aale ahmed ko dhali
sham ke darbar may
chadaron ka naam sunkar....
jab ali akbar ke sar ko saamne laaya gaya
hogayi behosh maa se na sambhal paaya gaya
dukhtarane Syeda parne lagi nade ali
sham ke darbar mai
Bibi e kubra ne rokar jis ghadi khutba diya
haye e tauqeer abid ka badan tha kaampta
hathkadi par maarta tha sar wali ibne wali
sham ke darbar may