Safar to Karbala
Chal parre Shabbir Karbal
Hogaya Veeraan Madina
Roti Akbar tujhko Dukhiya
Rehgay tanha madina
1) Sar bhi doonga ghar bhi doonga
Bheno ki chaadar bhi doonga
Deen bachanay kay liye noujawan Akbar bhi doonga
Abh na zinda lout kar may (x2)
aaonga Nana Medina
2) Bhenay lay kar haram lay kar Karbala ko ja raha hu
Aik ghum hay meray dil may jis ko lay kar ja raha hu
Nana ummat nay nahi di (x2) qabar ki bhi jaa Medina
3) Ro raha hay aik sehra deraha hay woh sadaae
Khoon khudaara de ke apna mola mujh ko ah basaaye
Banjaaonga mai muqaddas (x2) jis tarha Makka Medina.
4) Subhe Ashura jo ghoonjhi bun may Akbar ki azaan
Bhenay rooyi phuphiyan royi rooti hay Akbar ki maa
Sun kay royi bhenay vichrri (x2) bhayi ki azaan Medina.
5) Jab chala tah kafila yeh oonto ki thi sou (100) qataray
Aj Shahid bibiyo ki koyi sunta na pukaray
Teen mehmil ek muhaari (x2) kafila louta Medina