Shaam e Ghareebaan
Haye Qayamat Ka Hai Samaa Chanay Lagi Sham-e-Gharibaan
Khemaa-e-Sadaat Se Uttha Dhowaa
Dhal Gaya Din Khatm Larayi Hoyi
Maut Ki Khamoshi Hai Chahi Hoyi
Chaak Girebaan Khudae Hoyi
Khak Basar Syeda Jayi Hoyi
Larzi Zamee Kanp Uttha Aasmaa
Noor-e-Nazar Raaj Dulare Gaye
bibi-e-Dilgeer Ke Pyaare Gaye
Shah Ke Ansaar Bhi Maare Gaye
Aas Thee Jin Per Wo Sahare Gaye
Loot Liya Maut Ne Yeh Karwaan
Khoon-e-Haider Sher-e-Jari Ka Alam
Ho Gaya Shabbir Ka Sir Bhi Qalam
Khooshiyaan Manane Lagi Fauj-e-Sitam
Ghum Se Tabah Haal Hai Ahle Haram
Lot Gayi Kaunain Ki Shah Zaadiyaan
Aun O Mohammed Nahi Akber Nahi
Qasim O Abbas Dilawar Nahi
Haye Koi Moonis O Yawar Nahi
Khema Nahi Makna O Chadar Nahi
Dasht Main Hai Aal-e-nabi Be Amaa
Madar-e-Akber Ka Ajab Haal Hai
Deta Hai Jab Koi Tassali Usse
Kahti Hai Dil Thaam Ke Route Howe
Kho Gaye Is Ban Main Sahare Mere
Na raha Haye Mera Karyal Jawaa
Maa Hoon Har Ek Ranj Utthaoon Gi Main
Rote Howe Khud Chali Jaaooon Gi Main
Dhond Ke Besheer Ko Laaoon Gi Main
Us Ke Bina Jee Nahi Pa-oon Gi Main
Reh Gaya Haye Mera Baccha Kahaan
Haye Yeh gohar e azmat e binte ali
Sab ko sambhala bhi hifaazat bhi k
Ghum mai shahe deen ke bhi roti rahi
Maa...
Ma tou hai bus aun o muhammad ki ma
Hy qayamat
Deta Nahi Us Ko Dilaasa Koi
Laashoon Pe Akele Khari
Kahti Hai Bacchi Koi Sahmi Hoyi
Dhondne Jaaon Tumhe Baba Kahaan