Safar to Karbala
Chuth Raha hai Nana ka
Astaan Meri Behna
Bhai ka Huwa Dushman
Yay Jahan Mairi Behna
Tang hai zameen mujh par
Har taraf se nargha hai
Hai qareeb bhai par
Imtihaan meri behna
Wada Apna Tifli ka
Abb Mujhay Nibhana Haiy
Sath Mairay Tum Hongi
Passbaañ Mairi Behna
Bhai ka Safar Tere
Lazzmi Hai E khwahar
Alqama Pay tehray Gaa
Karwaañ Mairi Behna
Deen e Haq ki Nusrat ko
Karbala ke Jangal Mai
Khoon Mai Nahaaye Gaa
Karwaañ Mairi Behna
Baad Mairay Ahl e Deeñ
Zulm Tum pe Dhaaenge
Bazuoon Mai Baandhenge
Raseeyaañ Mairi Behna
Qaid Ho kay JaaOo Gee
Shaam Aur Kufay Mai
Pehne Ho Ga Aabid Bhee
Berriyaan Mairi Behna
Sheh Safar ka Pasmanzar
Keh kay Chup Huwaiy Saghar
Mai Hooñ Haq ki Marzi Par
Shadmaañ Mairi Behna