Category

Qasida / Salam

Author

Mola Abbas asws

Date

June 4, 2022

Dastanay Shuja’at Ka Darein Mai

Mola Abbas asws

Dastan e Shuja’at ka daraein mein 
Aik bay misl kirdaar Abbas hain

Hain Ali kay athaara hi betay Ali 

par sabhi mein Alamdar Abbas hain

 

Sahib e takht e aqleem e  ghairat hain yeh

Aur chiraagh-e-hareem-e-sharafat hain ye

Dur e shehwar baihr e sakhawat hain ye 

Haq to yeh hai ke haq ki haqeeqat hain ye

Wo duaein jo Bibi nay sajdon mein keen

un duaon ka maya’ar Abbas hain


In kay lehjay mein Hashim ki hashmat bhi hai

In kay tewar mein Hamza ki haibat bhi hai

Har adaa in ki Imran ka aks hai

In ki baahon mein Jaffar ki taaqat bhi hai

Pyaar hai Mustafa ka Hussain o Hassan

Aur Hasnain ka pyaar Abbas hain


Dakhl-e-azmat ka shireen samar hain yehi

Ismaton kay sadaf kay gohar hain yehi

Noor ki sidratul muntaha hain yehi 

Hashmi aasmaan kay qamar hain yehi

Jin kay saaye mein Akbar bhi paltay rahay

Husn ka aisa meenaar Abbas hain



No items found.