Karbala
Suraj ki sunehri thaali thi
Is Chand ki das ko saanjh talak Shabbir se dunya khaali thi
Dou Khait Paraiy Jal Behta tha
Aur phool Idhar Kumlataiy thay
Bin Neer Yay Sukhaiy Jataiy thay
Aur Charooñ Taraf Haryali thee
Baba hi ke dam ke sathi thay Akbar bhi gaye Asghar bhi gaye
Taknay ko rahi aik aik ka munh Chati pe jo sonay wali thi
Yun jag may na lagi aag kaheen Is dhab se na ujrra bagh kabheen
Sookhi hui patti patti thi Tooti hui daali daali thi
Haider ke gharanay walay sab Satwant bhi thay sawant bhi thay
Sehjay may uthi li bandon ne Maalik ne jo bipta dali thi
Sarwar pe Hasan ke vidhuwa ne
Do chand se tukrray waar diye
Bachay to jiyaalay thay hi magar
Mata bhi barray dil wali thi
Kya lut ke gaye Karbal se haram
Jab aayi hain sakhiyan milnay ko
Jis mang ko dekha ujrri thi
Jis goad ko dekha khaali thi
Ye jee se guzarnay walay thay Ye baat pe marnay walay thay
Kab moat se darnay walay thay Sao bar ki dekhi bali thi
Najmi ye Hussaini chokhat hay Yahan aa ke muraadain milti hain
Is dawar se bhiksha le ke chalay
Aaye thay to jholi khali thi