Category

Noha

Author

Shahzaday Aun & Muhammad asws

Date

August 2, 2022

E mere Aun o Muhammad

Shahzaday Aun & Muhammad asws

E mere Aun o Muhammad


Tumhe na bhoolegi madar

E mere jaan mere dilbar

 

Mujhe khabar hai ke pyaase, bohot ho tum mere bête

Magar tumhari nigahei(n), na jaaye darya kinaare

Tumhe pilayengi paani, maa Syeda lab-e-kausar, ay mere aun-o-muhammad

 

Tumhe khabar hai ke mamu, bohot zaeef hai tere

Subha se leke abhi tak, unho(n) ne laashei(n) uthaaye

Giro jo zee(n) se to kehna, faqat salaam ay dilawar , ay mere aun-o-muhammad

 

Pukaare Aun-o-Muhammad, kalaam maa ka ye sunkar

Na sharm ayegi aapko, na khof kar hy madar

Ham is tarha se larrenge, ke khud kahenge ye haider, ay mere aun-o-muhammad

 

Larre the aisi tarha se, Kahe ye lashkar-e-kuffaar,

lo agaye hai ye ran mei, ali-o-jaffer-e-tayyaar

khayaam se jo ye dekhe, pukare fakhr se sarwar, ay mere aun-o-muhammad

 

thay teen din ke wo pyaase, larre to kitne larrenge

har ik taraf se tha hamla, wo gir ke reyt pa aaye

gire ye dono to Maa ne rakha tha sajde me yu(n) sar, ay mere aun-o-muhammad

 

Ye maa(n) ka sabr hai itna, ke karbala se madina

Wo apne bête ke khatir, bahayi ashk kabhi na

Ki apne bhayi ka girya, kabhi na boli ye madar, ay mere aun-o-muhammad

 

Sambhaal payi na dil ko, madar jo ponchi yu(n) ghar mei

Nanne musalle ko chume, kabhi wo chume khilonei(n)

Khamosh ghar mei akeli, pukari maa(n) ye sissak kar, ay mere aun-o-muhammad

 

No items found.