Imam e Zamana ajfj
E mere Imam (as)
Aap per durood aur salaam
Bas yehi sadaa hai sub ho shaam
Aarahay hai aap chal rahi hai ye khabar
Khaanaye khuda pe hai tiki hui nazar
Saj rahay hai raastay tamaam
Har nafas tujhay mera salaam arz hai
Mai tau kya har nabi wali pe farz hai
Do jahaa me tera ehtiraam
Do jahan ki baadshah tairee zaat hai
Tu hai uska haath jo khuda ka haath hai
Tere haath beh atte tamaam
Is liye tumhara intezaar hai shadeed
Sar uthaye phir rahay hai waqt kay yazeed(la)
Aake unsay liyje intekaam
Zikr khayr aap ka wazifa hai mera
Manqabat nahi hai ye ariza hai mera
Par raha hu roze subho shaam
Khaana e khuda ko qaid se churraayiyay
Maula (as) jald aayi ab aa bhi jayiyay
Leke zulfikar be niyaam
Maangtay hai aur yu zahoor ki dua
Dekhna hai humko intekaam e Karbala
Chahay phir ho zindagi tamaam
Choomtay hai paoo aakay taaray aapkay
Chal raha hai dekh kar ishaaray aapkay
Saari kainaat ka nizaam