Imam Raza asws
E Shahe Khurasan teri shouqat ke tassaduq
E noor e mujassim teri soorat ke tassaduq
Al taaf ke qurbaan anaayat ke tassaduq
Aaqa teri tanhaaiy o ghurbat ke tassaduq
Hou muztaribul haal ke rehta hou qalaq mai
Mamduhe dua chaahiye maddaah ke haq mai
Ma’moon ne jab shahe khurasan ko bulaaya
Zarre ne faroughe maahe taabaa ko bulaaya
Gumraah ne khizre rahe eeman ko bulaya
Nacheez ne shehenshahe douraa ko bulaya
Aapas mai sukhan tha yehi darwaish o ghani ka
Veeraan huwa chahta hai shehr e nabi ka
Karte hai bayaa rahvi e akhbaar e musibat
Manoos thi hazrat se bohat khwaahar e hazrat
Thi khwaahar e yusuf ki tarha aap se ulfat
Chaayi thi shab e subho safar e ghum ki jo zulmat
Shaam e ajal us raat ki ik aik gharri thi
Aati na unhe neend ke tashveesh barri thi
Lou ahle aza ro pareshaan ka safar hai
Hai hashr bapa shahe khurasan ka safar hai
E matamiyo malik e emaan ka safar hai
Veeraa hai madina shahe zeeshaan ka safar hai
Hai kooch giraftaare jaffa houte hai aqa
Ab qabar e muhammad se juda hote hai aqa
Mamoon ne tauqeer na kuch samjhi raza ki
Aaye jo khurasan mai tou zaalim ne jaffa ki
Mehboob e ilaahi ke nawaase se dagha ki
Mola ko diya zehr duhaayi hai khuda ki
Thi shaaq e judaayi shahe waala ko pisar se
Ghum ye tha ke ghurbat mai chale jaata hai ghar se
Hazrat ko bohat shaan se mamoon ne bulaya
Israar se phir aap ko angoor khilaaya
Angoor mai qaatil ne diya zehr tha kesa
Tukrre huwa dil syeda ke lakht e jigar ka
Nikle na thay baahir ke qayamat huwi barpa
Sou tukrre kaleja huwa murjha gaya chehra
Teyaar thi waha mayat e shehenshahe waala
Nazro mai sab ke huwi jo duniya tah o baalaa
Sar peet te thay ahle wila haal boora tha
Ghul tha ke chala dehr se ehmad ka nawaasa
Route thay waha har samaah laashe shahe deen par
Mazloomo ki fariyaad se tha aalam e mehshar