Bibi Ummul Masaib asws
Eid aayi hai maahe Shaban ki
Paak bibi ka zahoor
Hai pehli shaban ko
Shabbar o Shabbir jese
Bhai ki humsheer hai
Malka e sharm o haya hai
Waris e tatheer hai
Shaan mai Syeda baat mai Haider
Azm mai ye shabbir hai
Pehli aayat sabr ke Quran ki
Shaban ki hai teesri
Aur aamad Shabbir ki
Rahib o fiturus pukaare
Agaya mera sakhi
Arsh se jhula jhulaane
Agaye jibreel bhi
Raqib doushe ahmed e mursal fakhar e khuda aur fakhar e ali
Ye khabar hai teesri shaaban ki
Chouthi sahar shaaban ki
Aur aamad abbas ki
Goud mai lekar Ali
Bole mera akkaas hai
Ye dil e Syeda dil e
Shabbir ka ehsas hai
Maine dua mai maanga tha jisko haa ye wohi abbas hai
Hai sanad allah ke ehsaan ki
Aayi thi shaaban ki saath
Ibne hassan qasim ke saath
Jab liya agoush mai
Madar pukari e khuda
Hubahu hai baap ki
Soorat ye mera laadla
Meri ibaadat meri riyaazat ka ye diya hai tu ne sila
Laaj rakli tu ne mere maan ki
gyaara thi shaabaan ki
thi aamad ali akbar ki
dekh kar is chaand ko wo chaand bhi sharmaa gaya
Paak Bibi ne kaha lo aa gaye phir mustafa
is ke husn ka sadqa diya tou tab yusuf ko husn mila
maangle khair apni zuleikha jaan ki
Mehdi e doraan ki aamad
hai pandra shaabaan ko
ay khusha qismat zameen pe aa gaye wo maahtaab
Ye ujaala deen ka hai jaanasheen e ‘bu turaab
mazhare yazdaan ka wo mazhar noore mujassam laajawaab
laaj rakhne aa gaya yazdaan ki