Category

Qasida / Salam

Author

Imam e Zamana ajfj

Date

June 4, 2022

Gar Hou Meri Hayat

Imam e Zamana ajfj

‘Gar Ho Meri Hayat Mairay Ikhtiyar Main 
Sadiyaan Guzardoonga Tere Intizar Main 

Mola Abb Aap Parda e Ghaibat Uthaaiye 

Dou Din Tou Zindagi Kay Guzaroo Bahaar Main

 

Iss wakht Garche Adl se Khaali Zameen Hay

 Mazloom kay Makaan main Zalim Muqeem Hay 

Dunya Sitam Shuaar Hay Maghloob Deen Hay 

Mola Zaroor Aaenge Mujh ko Yaqeen Hay 

Aaegi kuch Kami Na Mairay Aitabar Main 

Sadiyaan Guzardoonga Tairay Intizar Main


Sub Loag Khwaahishaat ke Abb Hogaye Ghulaam 

Ibleesiyat Ka Daur hai BayPerdagi hai Aam 

Peenay Lagay Lahu Hain Tou Khaanay Lagay Haraam 

Kehta Hay Dil Kay Bus Abhi Aajaaiye Imam

‘Gar Dair hai Masheeyat-e-Perwardigar Main 

Sadiyaan Guzar Doon Ga Tairay Intizar Main


Mushkil ke wakht hum ne pukara hai ya Hussain

Ghaibat ke imtihaan mai sahara hai ya hussain

Quran e ahle bayt ka paara hai ya hussain

Haq ne humare dil pe uthara hai ya Hussain

Rehkar dua e binte Nabi ke hisaar mai

Sadiya guzar doonga...


Iss Dour e Pur Khatar Main Hain Dushwaar Manzille

Mola Iss Imtehan Main Dil ko Sakoon Dain

Roza Namaz O Hajj Kay Manaasik Ada Karain

Hum Shaam O Kerbala Ki Zayarat Ko Ja Sakain

Aajaaega Qaraar Dillay BayQaraar Main 

Sadiyaan Guzaardooonga...


Khudkash hai bam dhamaake hadh e zulmo jor hai

Kuch saamne hai aur pas e manzar kuch aur hai

Ab bhi yazidiyat ka mazaalim ka taur hai

Garch e ye momineen pe mushkil ka daur hai

Duniya ke dard o ghum hai bhala kis shumaar mai

Sadiya guzar doomga...


Ehle aza ko jurrat o tadbeer chaahiye

Dekha hai khwaab khwaab ki taabeer chahiye

Taskeen qalb e madar e shabbir chahiye

Ab jannat ul baqi ki taameer chahiye

Ajaaegi bahaar is ujrre deyaar mai

Sadiya guzar doonga…


App Kay Dar Per Har Roaz Hotay Hain Mojazay

Kitnay Ameer Ho Gaay Iss Dar Ki Bheek Say

Sub Apnay Apnay Hissay Ki Khairaat Lay Gaay

Zikray Imam-e-Asr Main Hisa Mujhay Millay

Main Mutmain Hoon Main Bhee Khara Hoon Qataar Main

Sadiya guzar doonga...


Alfaaz se dillo pe hakumat mili mujhe

Mazloom ye Hussain se taakat mili mujhe

Mimbar mila Hussain ka izzat mili mujhe

Badle mai aik ashq ke jannat mili mujhe

Ghaatta kabhi huwa nahi is kaarobaar mai

Sadiya guzar doonga...




No items found.