Imam Hassan Askari asws
Gham sani e Hassan ka
Karta hai ye Zamana
Tasbeeh e Syeda ka (2)
Thoota phir aik dana
Karte hai donou aalam
Shah Askari ka matam (2)
Wajib hai mominou pe
Farsh e aza bichana
Lanat hou moutamid par
Jisne zeher diya hai (2)
Lahreb us layeen ka
Douzakh hai ab thikhana
Sar se utha hai mola
Hassan askari ka saya (2)
Baba ke ghum mai rote
Hai hadiye zamana
Gul gyariva chirag e
Ale Nabi hua hai (2)
Dooba huwa hai ghum mai
Sadaat ka gharana
Jawaad ghaib mai bhi
Karte hai mola matam (2)
Bhoole nahi hai hadi
Ankho se khoon bahana