Category

Noha

Author

Imam Jafar as-Saadiq asws

Date

June 4, 2022

Ghar jalaya gaya hai Saqid ka

Imam Jafar as-Saadiq asws

Ghar jalaya gaya hai Saqid ka (syeda jaiya da asra ghazi)
Jaisay Syeda ka dar jalaya tha

Yaad anay lagi Shab e Ashoor
Phir Madina bana hai Karbobala 

Ghar main saidaniyan bhi theen moujood 
Phir woh manzar tha shaam e gurbat ka

Kyun ghareebon ka ghar jalatay ho 
Kya Musalman nahi hai khouf e Khuda 

Dushmani kya hai ale Ahmed se
Phir Muhammad ko kyun rulaya gaya 

Haaye Mola Imam e Sadiq ko
Zehr de ker shaheed ker dala 

Yeh yateemi ki shab hai kazim ki 
Phir sey Syeda hai aj mehve buka 

Qabr mismaar misl e Syeda hai
Aur ronay pe bhi hai pehra laga

No items found.