Safar to Karbala
Ghar se jab behre safar Syed e Aalam nikle...
Sar jhukaaye huwe baadeeda e purnam nikle...
Kheesh o farzand paraaband ke bahum nikle
Roke farmaya ke is shehr se ab hum nikle...
Raat se giriya e amma ki sada aati hai
Dekhe kismat humme kis dasht mai lejaati hai
Rukh kiya Shah a.s. ne sooye kabr Shehnshah e anaam...
Behre tasleem jhuke muttasil e baab e salaam...
Izn paakar jo gaye kabr ke nazdeek imam
Arz Ki aaya hai aj aakhari ruksat ko ghulaam...
Ye makaa humse ab e Shah e zaman chuthta hai...
Aaj Hazrat ke Navaase se watan chuthta hai ...
Chain se sab hai gharo mai humme milta nahi chain...
Sakht mushkil mai phasaa Aapka ye Noor ul ain ...
Tukrre dil hota hai jab ro ke haram karte hai bain...
Nunne bachho ko bhala leke kidhar jaye Hussain...
Shehr mai chain na jungal mai ama milti hai....
Dekhiye kabr e musafir ko kaha milti hai...
Ye bayaan karke jo tahveez se lipte sarwar
Yu hili qabr ke tharaayi zari e anwar
Aayi turbat se ye awaaz e habib e daawar
Teri ghurbat ke mai sadqe mere mazloom pisar
Koi samjha na meri goud ka pala tujhko
Hy aada ne madine se nikala tujhko
Kay din se teri maadar ko nahi kabar mai chain
Aayi thi shab ko mere paas ye karti huwi bain
Ghar mera lutttha hai fariyaad rasool e saqlain
Subha ko apna watan chorr ke jaata hai Hussain
Kehne aayi hou ke mou kabar se morrungi mai
Apne bache ko akela tou na chorrungu mai
Sheh pukaare ke khuda hafiz o nasir amma
Aap se houtha hai rukhsat ye musafir amma
Muddat e zeest koi dam mai hai akhir amma
Ab nahi aas ke aana hou yaha phir amma
Samjhte hum laahde aik hi ja houwengi
Kya qayamat hai ke kabre bhi juda howengi
Aa ke abbas ne sar rakhdiya paayi ne mazaar
Aayi awaaz ke amma tere hathou ke nisaar
Apne pyaare ke baraabar mai tujhe karti hou pyaar
Jaan bhai ki hifazat ka rahe e dildaar
Koi ghurbat mai isse maar na daale beta
Mera Shabbir hai ab tere hawaale beta
Bolle Shabbir ke ye ahle wafa hai amma
Mai fida is pe hou ye mujh pe fida hai amma
Is ke dam se mere jeene ka mazaah hai amma
Ye biraadar mujhe beto se siva hai amma
Khalq mai haider e karaar ka saani hai ye
Paas e shabbir ke baba ki nishaani hai ye