Imam Hassan Askari asws
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Ho Gaaiy Yateem Imam-e-Zamaañ
SaMarRah Mai Kaisi Qayamat Utthi
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Kartaiy Rahaiy Qaid Mai Zikr-e-Khuda
Kartaiy Rahaiy Yaad Faqatt Karbala
Soag Kay Aaalam Mai Haiy Sara Jahaañ
Charoou Taraf Ghum ki Fiza Chaa Gaee
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Misl-e-Pidar Aap Giraiy Farsh Par
Misl-e-Hassan Aap ka Tukrraiy Jigar
Girtaiy Huwaiy Aap Nay Yay Di Sada
Ya Ali O Ya Hussain O Ya Ali
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Apnaiy Hee Ghar Mai Jo Nazar Band Tha
Marzi-e-Khaliq Pay Raza Mand Tha
Karbala O Shaam Pay Giryaa Kunaa
Marzi-e-Syeda Aza Jari Rakhee
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Seerat O Surat Mai Haiy Jo Murtaza
Ahmad-e-Mursal Sa Haiy Lehja Taira
Tairaiy Waseelaiy Say Ho Hajat Rawa
Kar Day Karam Hum Pay Aiy Ibn-e-Sakhi
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Jiss Tarha Mashhad Gaaiy Mola Raza
Uss Tarha App Gaaiy Samarah
Iss Tarha Say App Huwaiy Baywatan
Iss Tarha Ummat ki Sahee Bayrukhi
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari
Kartaiy Hain Faryad Hassan Askari
Giryaa Kuna Arsh Pay Saraiy Nabi
Makkah Madina Mai Qayamat Machi
Roti Baqaiyya Say Jo Syeda Chaleeñ
Haaiy Hassan Askari
Haaiy Hassan Askari