Shazada Qasim asws
Haiy Qasim ki Aamad Jahañ mai Khushee Haiy
Muhammad ka Aangan Bhee Mehka Huwa Haiy
Jo Qasim ko Daikha tou Shabbeer Bolaiy
Mairaiy Ghar mai Phir Saiy Hassan Aa Gaya Haiy
Mairaiy Bhai ki Pak Tasweer Haiy Yay
Wou Quran Haiy Uss ki Tafseer Haiy Yay
Siffataiy Muhammad Ka Mazhar Haiy Qasim
Tou Yay Juratooñ Mai Ali Murtaza
Malaik Say Jibreel Yay Keh Raha Haiy
Wouhee Waqt Phir Loat ker Aagaya Haiy
Mujhaiy Lag Raha Haiy kay Phir say Hassan ko
Nabi Mustafa Loreeyaañ Day Raha Hai