Shahzada Ali Asghar asws
Hogayee shaam dhua
Lori daitee rahee maa
Juhla jalta he raha
julai sai liptee rahee maa
Pyaas barrhti rahi sukai huwe sarai saghar
Kaan darya ki taraf aankhe ali asghar par
Paani behene ki sadaa (2)
Khaime mai sunti rahi maa
Lashai Asghar ko liyai raaha mai att te rahay Shah
Dar pe khamai ke jo aake palatt te rahay Shah
Khaaq pe girtee rahi (2)
khaaq se uthti rahi maa
Kamptai haatho mai soukhai huwe saghar ko liye
Dhoop ki goud mai yaade ali asghar ko liye
Saaye mai aayi nahi (2)
dhoop mai betee rahie maa
Qaafila aake ruka jab ke dar e Dukhiya par
Hy Asghar kaha aur dar pe giree ghash kha kar
Sang e dar thaamliya (2)
Sar ko pattakhti rahi ma
Hy jalte huwe khamai mai masooma hai haye
Darmiya shoulou ke jalta huwa jhula hai haye
Dono ko thaame huwe (2)
Aag mai jaltee rahi maa