Mola Hussain asws
Hussain Kya Hai
Tu phir bhi hum se
Ye poochtha hai
Hussain woh hai
Zameer e insaan jagaya jisne
Falak zameen ko banaya jisne
Sina pe quran sunaya jisne
Nishan e baatil mitaya jisne
Khuda ke deen ko
Bachaya jisne
Khuda ke lashkar ka Ameer lashkar
Wo jis pe naza hai rab e Akbar
Hai jiske ghar mai farishte nokar
Faqeer jiske hai sab qalundar
Hai jiski tashna
Labi samundar
Wo jisne Karbobala banayee
Wo jisne bazame wafa sajayee
Ali ka beta Hassan ka bhai
Kare jo nabiyo ki rehnumayee
Khuda ne dedi
Jisse khudayee
Wo jisne khaq e shifa banayee
Wo jisne nabz e jaha chalayee
Wo jisne shum mai amal jalayee
Har eik azmat hai intihayee
Hai jiska Abbas
Jesa bhai
Hussain sardaar e alami hai
Hussain duniya mai misal e deen hai
Risalato ka yehi ameer hai
Bohat haseen hai bohat haseen hai
Wo jiske jaisa
Koi nahi hai
Zamana karvat zarooor lega
Har aik muazan azaan ye dega
Zara teherja tu khud kahega
Juloos jiska na ruk sakega
Wo jiska matam
Sada rahega
Jo maqtalo mai hayat baante
Bataado gohar ye wo sakhi hai
Nahi hai kismat mai teri bete
Rasool haq bhi ye kehde jisse
Wo saat bete
Ussi ko dede