Category

Noha

Author

Imam Jafar as-Saadiq asws

Date

June 4, 2022

Hy musa e kazim ke baba jafar e saadiq

Imam Jafar as-Saadiq asws

Hy musa e kazim ke baba jafar e saadiq 

Rote hai tere ghum mai Shia jafar e saadiq 


Ghar basta huwa aal e payambar ka na dekha

Har dour mai saadaat ko ummat ne sataya 

Kehta tha baqiye ka ye ro ro ke andhera

Jis tarha huwa shaam e ghareebaa mai ujala

Ghar tera madine mai jala jafar e saadiq


Ummat ne tumko zeher e jafa phir khilaadiya

Kazim ke sar pe kohe museebat giraadiya

Turbat mai aaj syeda ko phir se rulaadiya

Manzar nazar mai sabz qaba ka phiraadya

Tukrre huwa tera kaleja jafar e saadiq


Ehsaan hum pe aap ne mola ye kardiya

Qa'im kiya jo majlis o matam ka silsila

Kese manaate hai ghum e sarwar sikhaadiya

Hai aap ke hi dum se ye tabligh e karbala

Har ghar mai hai jo farsh e aza jafar e saadiq


Hasnain o Ali mola shehenshahe madina

Rumaal ko haatho mai uthaaye huwe Syeda

Shareekatul Hussain bhi hain aur baali masooma

Khud aaye hai majlis mai wo mehdi e zamana

Hai aap ka lene ko pursa jafar e saadiq


Kaatta hai muhammad ke kabhi mere jigar ko

Lootta hai musalmaano ne allah ke ghar ko

Chun chun ke aziyat di mere noor e nazar ko

Phir zeher khilaya hai ghazab mere pisar ko

Roti hai yehi kehke syeda jafar e saadiq


Talbiya Labooñ Peh Tha Tou Zubaañ Peh Tha Yay Kalaam

Piyasaiy Huwaiy Shaheed Na Pani ka Paya Jaam

Yay Bain Kar Kay Bistar Peh Roaiy Bohat Imam

Kehtaiy Thaiy Ya Hussain Tou Kehtaiy Kabhee Thaiy Shaam

Yad Aa Gaee Haiy Karbobala Jafar-e-Sadiq


Sab Jin O Malak Qudsi Huraiñ Houn Ya Ghilmaañ

Sar Peettaiy Hain Gham Saiy Sabhee Hou Kay Pareshaañ

Aur Musa-e-Kazim Ka Bhee Haiy Chaak Giraiybaañ

Aur Chahnaiy Walaiy Bhee Hassan Saraiy Hain Giryaañ

Kartaiy Hain Tairaiy Gham Mai Noha Jafar-e-Sadiq

No items found.