Shahzada Ali Asghar asws
Hy Shaam dhalay
Kaisai maqtal mai
Dhoonda hai maa ne Asghar ko
Goudi mai nahee
Naizai par (2)
Paya hai maa nai Asghar ko
Maqtal mai nenava ke
Chhaaou naa thi mayasar
Khaime se leke nikle
Besheer ko jo sarvar
Apnee nazar kai saa e mai
Bheja hai maa nai Asghar ko
Loree tarap rahee hai
Besakhata zubaa par
Jo haal Karbala mai
Vo haal aasama par
Roro kai duwao mai to
Manga hai maa nai Asghar ko
Khamoush sab malaq hai
Khamoush ambeeya bee
Khamoush kul khuda ee
Khamoush hai khuda bee
Patharaa ee hoi aankho mai
Rakka hai maa nai Asghar ko
Paaband hai ehad kee
Majboor tou nahi hai
Naizay pay unka behta
Kouch door tou nahee hai
Khud apne pass aane se
Rouka hai maa nai Asghar ko
Abid azal mai vada
Is maa nai bhi kiyata
Aghoush ka sabee kuch
Allah ko de deeya tha
Khoiee gee Masooma ko bee
Khoya hai maa nai Asghar ko