Hazrat Muslim bin Aqeel asws
Insaañ Ke Liye Maut Hai Gham Be Watani Ka
Jaankah Hai Anduh-O- Alam Bewatani Ka
Sadma Nahi Kuch Mout Se Kam Bewatani Ka
Aafath Hai Qayamath Hai Sitam Bewatani Ka
Kantoun Ke Alam Syed-E- Sajjad Se Poocho
Eizaa-E- Safar Muslim-E- sardaar Se Poocho
Ki Sakht Dagha Kufiyoun Ne Ghar mai Bula Ke
Sab Phir Gaye Jin Logoun Ke Daawe The Wafa Ke
Lakhoun Hai Adu Jaaen Kidhar Jaan Bachake
Mushkil Me Giraftar Huwe Kufe Me Aake
Yawar Nahi Hamdam Nahi Ghamkhwaar Nahi Hai
Narghe Me Hain Aur Koi Madadgaar Nahi Hai
Hain Sangdil Aise Wo Jafaakaar-O- Sitamgar
Kotthou Se Lagaane Lage Mazloom Pe Pathar
Noorani Badan Hogaya Majrooh Sarasar
Aur Saamne Se Mu Pe Laga Zulm Ka khanjar
Kyun Gir Na Parra Haye Falak Phat Ke zameen Par
Laale Lab-E- Jaan Baqsh Gire Katke zameen Par
Ye Kahte The Muslim Ke Laeenoun Ne Kazaara
Ek Sange Sitam Is Lab e Majrooh pe Mara
Resh Aur Garebaan Mai Lahu Bhar Gaya Saara
Jab Haal Ye Pohuncha To Kaha Jang Ka Yaara
Aada Se Kaha Dil Mai Zara Rehm To Jaa Do
Ghash Aata hai Paani Mujhe thorra Sa Pilado
Kab sunte thay syed Ka sukhan Zulm Ke Baani
Thay Qatl Ki Tadbeer Mai Wo Dushmane Jaani
Le Aai Zaeefa Wahin Ek Jaam Mai Paani
Qismath Ne Magar Bujhne Na di Tishna Dahani
Sookhi Huwi Thi Gul Si Zabaan khushk Gulu Tha
Us Paani Ko Mu Se Jo Lagaya To Lahu Tha
Phainka Usse Jab Khaak Pa BaaDeeda e Giryaa
Ek Jaam Zaeefa Ne Diya Phir Unhe Os Aa
Peene Bhi Na Paya tha Koi Ghoont Wo Zeeshaa
Paani Me Juda Hoke Gire Gouhar-E- Dandaa
Farmaya Ke Saabit Huwa Pyaase Hi chalenge
Ab Saaqiye Kousar Humme Sairaab Karenge
Dushman To Kayi Sow Thay Ye Be Yaar-O- Madadgar
Barshi Kabhi Parrhti Thi Kabhi Parrhthi Thi Talwar
Andu Pe Andu Thay Aazaar pe Aazaar
Kis Aas Se Ek Aik Ka Mu Takte thay Har Baar
Baazu Ko Sitamgaar Jo Bandhe thay Rasan Se
Fawwara e Khoon Chatta Tha Har Zakhm e Badan Se
Farmaake Ye Gardan Tarafe Qibla Jhukaayi
Shamsheer Jafaakaar Ne Chamka Ke Uthaayi
Aawaaz Ye Makhdooma-E- Kounain Ki Aayi
Jaata hai Har Awwal Mere Bacche Ka duhaayi
Is Zulm Se Baaz Aa, Jo Khuda Ka Tujhe Dar Hai
Zaalim Sar-E- Muslim pe Mera Haath Sipar Hai
Syeda Ne kayi baar tarrap Kar Ye Pukara
Kya Dil Tha Ke Mutlaq Na Dara Wo Sitam Aara
Zalim Ne Kayi Zarb Me Sar Tan Se Utaara
Phatt-Ta Hai Jigar Ab Nahi Goyaayi Ka Yaara
Likha Hai Chala Leke Jo qaatil Sar-E- Muslim
Koutthe Ke Talay Phaink Diya Paikar-E- Muslim
Sab zakhme badan phatt gaye maqtool e jaffa ke
Ik Chout lagi dil pe rasool e dou sira ke
Agoush mai haider ne liya laash ko aake
Ye bain kiye syeda ne ashk bahake
E bewatan e sabiro shakir tere sadqe
Hy hy mere mazloom musafir tere sadqe