1st Muharram
Jab chand Muharram ka ata hai nazar logo
Zara soucha karo
Kis tarha ujra hoga
khatoon ka ghar logo
Is chand mai ujree hain
Beemar ki umeede
Dhukiya nai guzaree hai
Rote hooue dou eide
Phir bhi na milee
Karbala se aane Ki
Akbar Ki khabar Logo
Ye chand tou chamka hai
Aflaak kai seenay pe
Syeda ka chand chupa hai
Hy khaaq kai seenay mai
Khoon mai nehladiya
Teeroun aur talvaroun se
Haider ka pissar logo
Akbar ki azan aisay
Gounjee hai zamanay mai
Nabiyoun nai sunee akay
Karbal kai veeranay mai
Bibi kai chand ka
Cheer dala hai pal mai
Barchee nai jigar logo
Syeda kai bharay ghar ko
Umat nai jalaya hai
Shabbir ki gardan pai
Khanjar bhi chalaya hai
Mustafa ko deeya
Kalma parne walo ne
Bar khoob ajar logo
Bibi bhi chalee ghar sai
Ghazi kai saharay pai
Sojaye ga jo jaa kar
Dariya ke kinare pe
Aur nabi zaadiya
Sar barena jayengee
Karnay ko safar logo