Bibi Syeda asws
Jab Dukhtare Rasool houi dafan raat mai
Phir tou kahin sahar na houi qayanat mai
Ginti hou jitni qarb ki bhi mumkinat mai
Is bibi ne uthaye hain apni hayat mai
Daman ko ashq e ghum se behgonay nahi diya
Baba ke ghum mai beti ko ronay nahi diya (2)
Jisko guzaarnay hain kay saal sabr say
Juz ghum jisse mile ga na kuch ahle jabr se
Yu roya jessay aabe rawa barse Abr se
Giriya lipat ke karta tha Syeda ki kabar se
Ashqo se apne ghum ka libaada pe rounga
Ab kis se apne dard bayaan kar ke rounga (2)
Haan us siyah raat mai noha Ali ka tha
Ya rab bayaan kaise karou ghum ka majra
Roya kabhi na aise tera sher, ai Khuda
Mayat ko ghusal dete huaay ghush mai girgaya
Ik daastaan qarb thi Syeda ki laash mai
Tooti thi pasliyan bhi tanay pash pash mai (2)
◦ Har simt kantay rehgaye murjah gaya wo phool
Rukh par jami houi thi dar e Syeda ki dhool
Ye bain kar ke houthi thi Amma bohat malool
Ya shahazaadi hou gaye kya mujhe se koi bhool
Zakhmon se choor choor thi yu aap so gayee
Kyu apni is kaneez se naraaz hou gayee
Ruh e rasool paak thi marqad mai bekaraar
Ghum se nidhaal houthe thay Shabbar falak waqaar
Haider ki chashme paak thi ro ro ke taar taar
Baad e Rasool pichattar dino mai ye ghum ka bar
Larza tha asmaan bhi Bibi ke bain se
Bibi bhi ro rahi thi lipat kar Hussain se (2)
Tohfa Rasool ne jo diya tha batool ko
Darbaar Syeda gayee uske hasool ko
Di baitthnay ki bhi na jaga dil malool ko
Ronda gaya yu deen e Khuda ke usool ko
Ummat ne yu batool ki duniya ujaar di
Beti ke aage baap ke tehreer phaar di (2)
Jo goud mai batool ki har waqt rehte thay
Madar se wo firaaq ki takleef sehte thay
Thi bhook pyaas ankho se anso bhi behte thay
Sooye Baqi hou ke ye Hussain kehte thay
Amma ye farz akhari baari nibha dain app
Aik baar apne hath se khana khila dain app (2)
Kasre malooqiyat ka tha daawa basad hasham
Mohsin houe shaheed ye adna sa hai sitam
Syeda ko baad e shahadat bhi dene hai aur ghum
Ammaar ye sadaae thi darbaar mai baham
Tori hain pasliya ye sitam aur dhaaen gay
Ik roz Syeda ki lahad ko girayen gay