Category

Marseya

Author

Tiflan e Muslim asws

Date

July 27, 2022

Jab ghir gaye kufe mai

Tiflan e Muslim asws

Jab ghir gaye kufe mai muslim(a.S.) Ke dulare

pardes me tanha they taqdeer ke maare


*dono baccho ka waha koi madadgaar na tha.

Sirf tanhai thi yawar na they ghumkhaar na tha. 

Wo bhatakte rahe dar dar koi dildaar na tha. 

Koi dono ki madad karne ko tayyar na tha. 

Thak kar ke jo girta tha kabhi chota baradar.

Chalta tha barra bhai use godh me lekar. 


*chote bhai ne barra bhai se ro kar pucha.

Bhaiya itna to batado ke kaha hai baba. 

Hum musafir hai yaha koi nahi hai apna. 

Hum ko pardes me ab kaun sahara dega. 

Har simt andhera hai kaha jayenge bhai.

Lagta hai hume baba na mil payenge bhai. 


Raat kali thi andhere me wo dono bacche. 

Sehme sehme hue ek pairr pa chupkar baithe. 

Raat bhar lipte they apas me wo ghum k mare.

Siskiyan lete they aur rote they chupke chupke. 

Aahat jo koi hoti thi ghabrate they dono. 

Patte bhi kharrakte they to dar jate they dono.



*Ek kaneez aayi subha usko tha pani bharna. 

Usne masoomo ka pani me jo dekha chehra. 

Dono baccho se ye ghabrake usi dum pucha. 

Kaun ho aae kaha se ho bata do itna.

Dono ne kaha zakham bohat khaye hai bibi. 

Hum log madine se yaha aaye hai bibi. 


*Naam yasrab ka suna jab to wo tarrpi ek baar.

Leke baccho ko chali ghar ki taraf wo deedaar. 

Apni malkan se bataane lagi sab hale zaar. 

Momina ne kiya shehzado ko ro ro kar pyar. 

Kehne lagi darna na meri jaan ho dono.

Aaka ke dularo mere mehmaan ho dono. 


*Mutmaeen ho gayi jis waqt ke wo mahelaqa. 

Le gayi baccho ko hujre me kaneez-e-Syeda(s.A.).

Khana pani jo diya baccho ka dil bhar aaya. 

Saamne nazro k maa baap ka chehra aaya. 

Baba ke liye mehwe buka ho gaye dono. 

Bin khaye piye rote hue so gaye dono.



*Haye muslim(a.S.) Ke pisar chand sitare dono. 

Khwaab se chaunk ke utthe jo dulare dono. 

Aahe bharne lage apas me wo pyaare dono.

Roye be sakhta taqdeer ke mare dono. 

Rone ki sada sun ke utha haris-e-malaun. 

Khanjar liye hujre me gaya haris-e-malaun. 


*Dekha haris ko to masoom bohat ghabraye. 

Zulfe zalim ne jo pakrri to jigar tharaye.

Le chala khenchta masoomo ko zalim haaye. 

Momina ne kaha haris tujhe maut aa jaye. 

Masoom hain pardesi hain in par na sitam kar. 

Haider(a.S.) Ke guletar hai ye Syeda(s.A.) Ke guletar.


Kitna malaun tha haris ko taras na aaya. 

Momina ki na suni ek use qatal kiya. 

Baal baccho ke pakarr kar wo sitamgar nikla. 

Bacche kehte they hume maar ke kya paaega.

Dirham tujhe dilwainge jitna to batade. 

Le chal ke madine hume amma se milade. 



*Le ke malaun yateemo ko neher pe aayaa. 

Tegh masoomo ko dikhla ke ye zalim bola.

Tum hi batlao gala kaatu mai pehle kiska. 

Chote bhai ne gala apna barrha kar ye kaha. 

Mai deta hu sar tegh idhar morr de haris. 

Bas mere barre bhai ko ab chor de haris.


*Phir barre bhai ne chote ko hataya barrh kar. 

Rakh diya apna gala tegh ke neeche ja kar. 

Bola haris se ki ahsaan ye karna mujh par. 

Mere bhai ko dikha kar na chalana khanjar.

Malaun tha be deen tha wo dushman-e-haider. 

Sar kaata barre bhai ka chote ko dikha kar. 


*Chote bhai ne lahu bhai ka dekha jis dum.

Lout kar khoon me bhai ke wo tarrpa poor ghum. 

Dekh kar su-e-nehar kehta tha kar ke matam.

Bhaiya tehro ke zara dair me aate hai hum.

Ye dekh ke malaun ne talwar chalaayi. 

Aur ho gayi mazloom ke sar-o-tan me judai. 


*Sar ko jab kaat chuka tan ko neher me daala. 

Chote bhai ki taraf bhai ka lasha aaya.

Haye shahzado ka apas main jo lipta lasha.

Dono mazloomo ki mazloomi pe larza darya. 

Haye jo sitam dono yateemo pe hua hai. 

Us zulm ko likh kar k kalam kaanp raha hai....



No items found.