Imam e Zamana ajfj
Haal e gham sunaenge jab Imam aayenge
zakhm e Dil dikhaenge Jab Imam Ayenge
Mehfil e jamaaenge Jab Imam Ayenge
Bamodar sajaenge Jab Imam Ayenge
Jashn Hum manaenge Jab Imam Ayenge
Zakhm hai abhi taaza maqqa aur madeena ke
Sham o kufa karbobala hum bhula nahi sakte
Az sakheefa taayi dam khair se nahi pohche
Jitne dukh uthae hai humne kalma goyo se
Ek ek chukaenge.....x2
Jab Imam Ayenge
Shaq hai jinko allah ke adl aur adaalat par
Mansab e nubuwat par saiyada ki ismat par
Murtuza ki ahmed se mukhtasir niyabat par
Jinko shaq hai bara par baarwey ki ghaibat par
Sab hi maar khaenge....x2
Jab Imam Ayenge
Naam par sahaba ke kaam kafiro jaise
Naam par sahaba ke kaam fasiqo jaise
Naam par sahaba ke kaam munkiro jaise
Naam par sahaba ke kaam mushriqo jaise
Sab hi muh churaenge...x2
Jab Imam Aenge
Dawa e mohabbat jo subho shaam karte hai
Unke dushman o se bhi raao rasm rakhte hai
Uns bhi nahi dete gheebatei bhi karte hai
Momino se bhi dil me bughz o keena rakhte hai
Kistarah nibhaenge...x2
Jab Imam Aenge
Jhut bolne ko hum mashwala samajhte hai
Baat baat par bejaa'n maslehat barakhte hai
Aur munafiqat ko bhi maslehat hi kehte hai
Lahmo laab ka saamaa'n hum gharo me rakhte hai
Kistarah chhupaenge....x2
Jab Imam Aenge
Nemate shariyat ko bojh hi samajhte hai
Lahmo laab hi ko hum zindagi samajte hai
Saahobaan e zar ko bada aadmi samajhte hai
Tang dast momin ko bas yuhi samajhte hai
Kya maqaam paenge
Jab Imam Aenge
Ye hamare mukro riya shatirana aiyari
Kya hamare saamo salaat aur ye h azadari
Kitna ghaik mohsin me kis kadar riyakari
Kya imaam ki khatir hum ne ki hai taiyari
Kaise muh dikhaenge...x2
Jab Imam Aenge
Al ajal jo kehte hai agae to kya hoga
Kya hai apni taiyari pesh hum karenge kya
"Sibt e jafar" apna to kul yahi hai sarmaya
Humd o naat o soz o salaam aur manqabat nauha
Ham yahi sunaenge...x2
Jab Imam Aenge