Safar to Karbala
Jab karbala ki simt barha haq ka rehnuma,
kuch agaya khayaal jo maa ke mazaar ka
Aya suwey Baqee wo Syyeda ka laadla,
rukhsaar rakh ke sadr e lehed par ye di sada
- Chut ta hai ab Madina merey dil ko thaam lo,
Amma ghareeb betey ka aakhir salam lo
Amma tumharey laal se chut ta hai aaj ghar,
amma tumharey laal se bargashta har nazar
Amma tumharey laal ka dushman hai har bashar,
amma tumharey laal ka hai aakheri safar
- Sehra me dil ke tukro ki basti basayega,
amma Hussein ab na madiney mai ayega
Maa se ye kehraha tha abhi maa ka laadla,
awaz aayi qabr se ay merey mehlaqa
Sadqey teri musibat o ghurbat pe teri ma,
bas ay Hussein bas ke hila arsh e kibriya
- Tarpey Abul Hassan bhi dil e beqarar se,
beta Rasool e haq nikal aaye mazaar se
Ay merey laal terey irado ke mai nisaar,
ye akhri safar hai merey dil ka izteraar
Kaisey kahu jo dilpe guzarti hai gul azaar,
hota hai be charaagh merey baap ka mazaar
- Jo tujpe zulm hongey ye dukhiya uthayegi,
beta ye gham naseeb terey saath jayegi.
Aansu bahaungi terey ranjo alam ke saath,
aankhein bichaungi terey naqshey qadam ke saath
Ye Maa nidhaal hogi har ek taza gham ke saath,
mera kaleja niklega potey ke dam ke saath
- Ghabhra na merey laal har ek dukh battaungi,
mai terey saath laasha e Akber uthaungi
Jayega tu jo nehr pe bhaai ki laash par,
mai terey saath saath chalungi suwe nehar
Beta Hussein kya tuje iski nahi khabar,
Abbas tera bhaai to mera dil o jigar
- Tu laash layega to safey gham bichaungi,
mai goud me katey huwe haathon ko laaungi
Beta Hassan ke laal ki khaatir ye kya malaal,
merey Hassan ne tujpe nichawar kiya wo laal
Fidye ke waastey koi karta hai yu malaal,
beta mai us ghari bhi rahungi shareeik e haal
- Gham hai qadam utha ke dil e paash paash ke,
tukrrey chunungi ran se mai Qasim ki laash ke
Rakhna meray Hussain meri beti ka khayal,
be parda ho na jaye kahi meri parda daar
Mehmil ke saath saath hon Abbas e zee waqaar,
taakeed ho ye Akbar o Qasim ko baar baar
- Aamaada har qadam pe rahein peshwaai ko,
takleef ho na raah me Syyeda ki jaayi ko
Jaa marqad e Rasool pe ay merey laal afaam,
laazim hai nanajaan ko bhi aakheri salaam
Dena meri taraf se ye hasrat bhara payam,
mumkin nahi madiney me Syyeda karey qayaam
- Tum bhi lahu mai apna chaman dekhney chalo,
Bibi ke bazuon me rasan dekhney chalo