Category

Marseya

Author

Shazada Qasim asws

Date

August 4, 2022

Jab lasha-e-Qasim

Shazada Qasim asws

[Full]Jab lasha-e-Qasim pe Shahae Behror-bar Aaye

Chak Apna Girebaan kiye khulle Sar Aaye

Nayza liye Hamshaklay Nabi Nohagar Aaye

Abbas Sambhalay Huwe Tegh-o-Sipar Aaye

 

Dekha siffate sher sitamgaaro ko tan ke

Hamla kiya Qatil Pe Jigar Band Hassan ke(2)



Ik TehelKa Barpa Huwa Bhagay jo bad Aff’aal

Ghoroo say Gul-e-Bagh-e-Hassan Hogaya Pamaal 

Daikha Shah-e-Mazloom nay Doolha ka Ajjab Haal 

Tapoo kay Nishaan Seenay Pay Malboos-e-Badan Laal


Mun Zard Tha-Zakhmon Kay Dahan Khoon Say Bharay Thay

Menhdi Lagay Hathon Ko Kalajay pe Dharay Thay (2)


Yun Lash Ko Farzand-e-Payamber Nay Uthaya

Hathon Pay Kamar Ko Shahay Bay-Par Nay Uthaya

Sar Khak Say Abbas-e-Dilawar Nay Uthaya

Tukrre Jo Alag Thay Unhain Akbar Nay Uthaya


Shabbar ki aba mai tanay sadh paash ko la aye

Yun dyori Main Shahay-Shouhda Lash Ko Laey (2)

 

Ghul Par Gaya Aayeee Banay Qasim Ki Savaaree

Rotee Safay-e-Matam Pay Utheen Bibiyaan Saree

Kho gaye Ghoonghat Main Dulhan Dard Ki Mari

Sar Peet Kay Umma Dar-e-Khaimay Say Pukari


Asay Main Khabar Kouchi Naheen InKo Sar-o-Pa Key

Baand Ankhain Kiye Sotay Hain Godee Main Chacha Key (2)



Bahir gaye Sheh Lash ko Masnad pay Lita ker

Maa Kholay Huway Gaisoo Giri Khak pay Aa ker

Dulhan say kaha Bali Masooma nay Yay Ja ker

Lo aae hain Maqtal se Banay Khooo main nahaa ker


Tum Daikho kay Matam ko Haram Gird Kharay Hain

Wou Biyaah ki Masnad pay Jigar thamay Paray Hain

No items found.