Jholi phela ke kaho
Jaha chalees
gharou mai lage taalay hy
Kese beemar waha rehgaye akeli Dukhiya
Khat mai Dukhiya ne likha
E mere pyaare baba
Zindagi kese bhala
Beti guzare baba
Bheya Akbar ko mere paas ab bhejo jaldi
Is se pehle ke yaha dam hi nikal jaaye mera
Kese din houtha hai aur
Kese raat houthi hai
Mai jo routee hou tou ye
Qayanat routee hai
Dadi ama hai mere haal se bechain bohat
Kabr mai roya mujhe dekh ke nana mera
Eid bhi agayee aur
Bheya nahi aya mera
Mera armaan hai mai
Sehra dekhou Akbar ka
Apne hathou se sajaati Qasim ki mehndi
Aur banwaati neya kurta Ali Asghar ka
Karbala mai khat e Dukhiya
Juhee pouncha maajid
Rote te laashe Pisar
Par shah e Wala Majid
Dasht mai goonj rahi thi yahi Dukhiya ki sada
Kash behno se kabhi hou na koi bhai juda
No items found.