Shahzada Ali Asghar asws
Jhula veeraan hai aur goud bhi khali asghar
maa ko batla de kahan basti basali asghar
sar pe chadar jo na thi ma nay kafan ki soorat
khakh maqtal ki teri laash pe dali asghar
maar kar teer tabassum ka sitam jo roko
aabru deen-e-mohammad ki bacha li asghar
bhool jaaye tera gham bali Masooma kaise
teri soorat hai kahan bhoolne waali asghar
baab-e-khaibar jo uthaate to na hoti diqqat
laash sarwar ne teri kaise uthaa li asghar
maut ghabragayi maathe pe paseena aaya
maut ki aankh may yun aankh hai daali asghar
kaise ho jaaye kisi dar ka bikhari rehaan
hai azal se ye tere dar ka sawaali asghar