Imam Musa e Kazim asws
Jiske din raat katte qaid ke andhere mai
Pursa dene usse Syeda bhi tou aayi hongi
Pursa dene usse Syeda bhi tou aayi hongi
Hy pardes mai Masooma bhi
Bain karti hougi
Aur Bibi bhi bulaayi hogi
Kisne zanjeer uthare tere
Rasm e Sajjad nibhane walay
Koi apna tou tere paas na tha
Aur mayat teri
Mazdooro ne uthayi hogi
Shaam se aayi Masooma ujri
Apne baba ko bhi jo ro na saki
Unko pehro mai abale honge
Aur wo roti hougi
Shaamiyo ki wo sataayi hogi
Zehr e angooro mai jab bhar ke diya
Aik zalim ne mere mola ko
Musa Kazim ke paak seene mai
Zehr e Harooni ne
Hy kya aag lagaayi hogi
Wo rahe taaj e imaamat pe kab
Chand lamhe ko ghar gaye hoge
Betiya roke puchthi hongi
Qaid e zalim se teri
Kab talak baba rihaayi hogi
[…]
Pisar e Saadiq ne madine jaa ke
Apne nana ke paak rouze pe
Zakhmi paao dekha ke nana ko
Saath mai Mola ne
Qaid ki baat bataayi hogi
Qaidi Imam ke janaze ko
Apni aankhe jhuka ke pursa dou
Deke kaanda taboot ko akhtar
Aaj jo rooega
Uski mehshar mai basaayi hogi