Mola Hussain asws
Jo Khuda ki saari khudaee say
Hay Azeem tar wo Hussain Hay
Jisay Daikh kar yay Nabi kahain
Maira Chara gar wo Hussain Hay
Main Nabi hoon Mairay Wajood ka
Jo Libaas hay wo Hussain Hay
Mairay her Ammal Mairay ilm ki
Jo Aa saas hay wo Hussain hay
Wo Mubahila ho ya Karbala
Maira humsafar wo Hussain hay
Mairay Doash ka jo Makeen hay
Mairi Aabro ka Ameen hay
Mairay Sajday jis pay Nisar Hain
Wo Hussain sab say Haseen hay
Maira Naz hay jo Namaz hay
Mairi Pushtat par wo Hussain hay
Wo Karim aisa Azeem hay
Kay jo Hajatoon ko Rawa karay
Koy aik baita talab karay
Tu wo Saat baitay atta karay
Wo koy nahee wo koy nahee
Yay Yaqeen kar wo Hussain hay
Jo khuda Kay deen ko Waqar day
Jo Nabi Kay dil ko Qarar day
Gham-o-Ishaq-e-Aal-e-Rasool ko
Jo Qaloob-o-Jaan main Utar day
Jo her iik khafi jo her iik Jali
Say hay Ba khabar wo Hussain hay
Jo Gharor-o-Farq-e-Khalil ho
Jo Rabubiyat ki Daleel ho
Jo Hidayatoon ki Sabeel ho
Jo Khuda Kay Deen ka Kafeel ho
Jo Quran-e-Pak ki Aayatoon
Say hay Motabar wo Hussain hay
Jo Haqiqatoon ka zahoor hay
Jo Nabi ka Meh wo Shauor hay
Jo Hassan Kay dil ka Qarar hay
Jo Ali ki Aankh ka Noor hay
Dil-e-Syeda ko sakoon milay
Jisay Daikh ker wo Hussain hay
Yay Pukarta hay Khuda ka Deen
Mujhay Qaid ker Kay chalay Laeen
Huway mujh pay Lakhoon sitam magar
Main malokiyat say daraa nahee
Mujhay fikr kya ho yazeed ki
Maira Rah bar jo Hussain hai
Tu muqasiroon say jihad ker
Yay qadam Utha yay qalam Utha
Hay jo seena zan tu Hussain ka
Tho Hussainiyat ka Alam Utha
Tujhay kaya hay Dar tujhay kaya khatar
Tairay Sath gar wo Hussain hay
Aay Muhib Hussain Kay Zikr main
Yay Haroof-e-Haq mujhay kam lagay
Yay Qasida hay jo Hussain ka
Mujhay Syeda ka Karam Lagay
Jo Mairay Gumaan-o-Bayan say
Hay Buland tar wo Hussain hay